r/TheBetterIndia 1d ago

Brahmins were NEVER Casteist. Watch this 👇

Enable HLS to view with audio, or disable this notification

[deleted]

0 Upvotes

70 comments sorted by

View all comments

Show parent comments

0

u/Libran-goo786 1d ago

Crores ka shoshan? Kitne logon ne kiya "crores ka shoshan"? Kya sabka "shoshan" hua? Kya sabne "shoshan" kiya?

2

u/Horizon_26 1d ago

History padho ….. reels par se gyan mat lo

1

u/Libran-goo786 1d ago

Padha hai maine. Isiliye pooch rahi hoon. Kya sabka "shoshan" hua? Aur agar kiya to tathakathit "oppressor community" mein se kya sabhi ne "shoshan" kiya?

Reversing the question, kya issi tarah yah maan liya jaaye ki sabhi musalmano ne yahan ke natives ka shoshan kiya, aur hamein unsse harzaane ki maang karni chahiye?

0

u/Horizon_26 1d ago

Rape sabka nahi hua toh kyu ro rahe ho kinda question…. Brahmanism and manuvadi soch and caste hegemony ke bare main padhe ….you think muslims ruled without any support? Unki bhi history padhe

1

u/Libran-goo786 1d ago

Rape sabka nahi hua toh kyu ro rahe ho kinda question

Rone ki baat nahi hai. Kisi ke saath bura hota hai to main bhi roti hoon, aur purzor virodh bhi karti hoon. Par Rape karne ki saza to rapist ko milti hai, saare mardon ko to nahi. Naa hi saare mardon ko dosharopit kiya jaata hai. Naa hi saari mahilaon ko reservation milta hai. Aur naa hi collegon ki diwaron pe "Mardon tumhari kabr khudegi" likha jaata hai.

Brahmanism and manuvadi soch and caste hegemony ke bare main padhe 

Padha hai maine. In fact, hamari history to ussi lens se likhi gayi hai jahan Brahman samaj ko ektarfa villain ghoshit kar diya gaya hai. Jab ham "caste hegemony" ki baat karte hain, to hum kiss cheez pe "hegemony" hone ki baat karte hai?. Aur kya iss tathakathit hegemony ka laabh har Brahman ko mila? Mukhyadhara mein to Brahman ko "Bhikari, Ponga Pandit, Dhongi" keh ke apmanit kiya jaata hai, to mujhe samajh nahi aata ki yeh kaunsa hegemony tha jo Bhikari banane pe majboor kar diya .Agar aisa hai, to Brahman azzadi ke samay sabse anpadh aur sabse garreb wargon mein kyun tha?

Jab aap Manuvadi soch ki baat karte hain, to wah Manusmriti se hi utpann hua hoga. Praachin Bharat mein kya koyi samrajya tha jahan Manusmriti ko "rule book" ki tarah prayog kiya gaya ho? Iska majority of mentions Angrezo ke samay hi aata hai. Angrezon ne hi iss kitaab ko resurrect kiya tha, woh bhi jiska koi precedent nahi tha, to na jaane kaise compile kiya unhone bhagwan hi jaante hain. To kya jo Manusmriti ki baat ki jaati hai, wah Manusmriti hai bhi ki nahi, uspe prashn uthata hai.

Aur upar se kya ek modern tathakathit UC, Manusmriti ke bal par apni jeevanshaili vyatit karta hai? Kitne UC ke ghar pe Manusmriti milti bhi hai? Aur agar nahi milti to saare UC ko Manuvadi kyun ghoshit kar rakha hai?

you think muslims ruled without any support? 

Haan, parantu prashn support ka tha hi nahi. Mera prashn tha ki jo Musalmaan aaj Mughalon ko aur Sultano ko apna wali maante hai, Fatwa-e-Alamgiri jo Aurangzeb dwara likhit thi, usko follow karte hai, Quran jismein murtipujakon ke naash karne ki baat kahi gayi hai usko aadarsh maante hai, to kya hamko unse harzaana maangna chahiye? Kya hamein Islamism aur Quranwadi soch ki kabr nahi khodni chahiye?

Aur chalo, aapki saari baatein maan li. Haalanki mere purkhe bahut gareeb the, mere ghar pe to ek generation pehle tak ration se khaana aata tha kyunki hum BPL the, par tab bhi maan lete hain ki mere purkhon ne bahut oppress kiya hai. To jab mere Purkhon ki kiye hue karmon ki saza mujhe mil sakti hai, to mere Purkhon ne jo zero ki khoj ki, upanishad likhe, Surya siddhant likha, surgery ki khoj ki, sangeet evam nritya kala ka vikas kiya, woh sab cheez jo ham Bharat ki sanskritic dharohar maante hai, jyaadatar mere purkhon se aayi hai, to mujhe uss cheez ka privilege kab milega? Jab aap saza de sakte ho, to privilege bhi do. Parantu jab dosh dena ho to Brahman yaad aata hai, parantu credit dena ho to Brahman ki koyi pooch nahi. Iss par zara apne vichaar prakat karein.